Apne Wi-Fi Ki Teen Guna Speed kaise karen ?
Agar aapke ghar mein internet ka fast connection hone ke baad bhi PC ya phir laptop mein dheemi speed milti hai, toh iska kai karan ho sakte hain.
Slow wifi speed ke kya Karan Ho Sakte Hain?
Inmein se ek hai device ko kam Wi-Fi signal milna. Ye zaroori nahi hai ke aapke ghar ke har kone mein Wi-Fi signal mile. Kabhi-kabhi router ki position theek na hone ke chalte internet speed dheemi aa sakti hai.
Toh Chaliye, Jante Hain Ek Aisa Tarika
Jiske zariye agar aap chahein toh ghar par hi achha Wi-Fi reflector bana sakte hain, jo Wi-Fi signal ko 3 guna tak badha sakta hai.
Wi-Fi Reflector Banane Ka Tarika:
- Ek khaali beer can lein jo kahin se fata na ho.
- Us beer can ko ek taraf se poori tarah kaat dein aur doosri taraf ka thoda hissa bachake rakhein.
- Thoda hissa chhod dein, dhyan rahe dono taraf se thoda sa hissa chhodna hai.
- Can kaatne ke bad us hisse ko khol dein.
- Iske ek hissa mein tape ya koi bhi chipkane wali cheez laga dein jo router ko can se chipka de.
- Can ko chhed ki taraf se router ke antenna ke andar daal dein.
- Aapka Wi-Fi reflector tayar hai. Can ke khule hue hissa ko us taraf rakhein jahan par aapko signal chahiye.
Ab aap chahen toh apne PC ya kisi doosri device se Wi-Fi signal check kar sakte hain.